Question | Answer |
Ameer-e-Ahl-e-Sunnat ke paak-o-hind ke musalmanon ke baray main ta'assuraat | Listen |
Kya koi islami bhai parday main rehkar islami bahnon se bayan ya madani mashwara kar sakta hai? | Listen |
Islami bahnain phone ke zaree'ay mashwara ya shar'i masa'il pochain tu ? | Listen |
Kya islami bhai bhi apnay apnay mumalik main madani muzakray karsaktay hain? | Listen |
Markaz Ki Ita'at | Listen |
Dawat-e-Islami ke madani mahol main "Madina Madina" pukartay hain, iski wazahat farmaen? | Listen |
Dawat-e-Islami ke madani mahol main majalis ke qayam ka kya maqsad hai aur inki haajat kyon paish ayi? | Listen |
Majalis main shamil karnay ke liye islami bhaiyon ki qabiliyat ka meyar, aur tareeqa-e-kaar kya hona chahiye? | Listen |
Kya majalis ke nigan-o-araakeen qafilon ke liye bhi infiradi koshish karain? | Listen |
Yeh kesay malom ho ke fulan kis quality ka islami bhai hai? | Listen |
Majalis ke Nigran-o-Araakeen ko madani markaz se li hui ya chanda ki hui raqmon ko kharch karnay main kya kya ehtiyaatain karni chahiyen? | Listen |
Jis majalis ke tahat tankhaah dar amla ho us majlis ke nigraan-o-araakeen ko amlay ke saath kaisa rawayya ikhtiyaar karna chahiye? | Listen |
Jin islami bhaiyon ko sobai ya shahar satah ki majlis ki nigrani ya rukniyyat milti hai basa auqaat unka andaz haakimana aur rubdaar hojata hai, kya aisa karna durust hai? | Listen |
Kisi bhi majlis ki kul muddat kitni hoti hai? | Listen |
Kisi majlis ke nigran ko usi majlis ka rukun bana diya jaye ya majlis se faarigh kardiya jaye tu aisi soorat main unka andaz kya hona chahiye? | Listen |
Baaz majalis ke islami bahi aapas main bahut bay takalluf hojatay hain aur hansi mazaq kartay hain, kya is se dosray islami bhaiyon par bura asar nahi parta? | Listen |
Majlis ke nigran ko Araakeen se madani kaam kis tarah lena chahiye? | Listen |
Majlis main nigran-o-araakeen sabhi hotay hain, magar baaz nigran-e-majlis khud hi tamam kaam kartay hain, is baray main kuch irshad farmayen | Listen |
Baaz auwqaat ek islami bhai ek se ziada majalis main hotay hain, kya is se us islami bhai ki karkirdgi muta'assir nahi hoti? | Listen |
Kya har majlis main madani aalim ka hona zaruri hai? | Listen |
Kya majalis ke nigran-o-araakeen ko apnay shuba jaat ke saath saath apnay alaqay main bhi madani kaam karna chahiye? | Listen |
Majalis ke nigran-o-araakeen har kaam karnay se pehlay mashwara kartay hain kya is main koi hikmat hai? | Listen |
Majalis ke nigran-o-araakeen main ikhtilaaf honay ki soorat main kya karna chahiye? | Listen |
Majlis-e-Maktoobat-o-Taweezat-e-Attariya bananay main kya kya hikmatain hain? | Listen |
Apki pasandeedah majalis kounsi kounsi hain? | Listen |
Baaz islami bhai alaqon main madani kaamon main mashghool hain aur baaz islami bhai majalis ke madani kaamon main mashghool hain, in main se tanzeemi ahmiyat ziada kis ko haasil hai? | Listen |
Majlis-e-Tahqeeqat-e-Shar'iiya ke qayam ka kya maqsad hai? | Listen |
Majlis-e-Tahqeeqat-e-Shar'iiya mazeed kin masaa'il par tahqeeqat kar rahi hai? | Listen |
Ek nigran par apnay matahat ke baray main kya kya huqooq hain? is baray main kuch irshad farmayen? | Listen |
Dawat-e-Islami kyon maa'rooz wujood main ayi? | Listen |
Baal bachun ko dawat-e-islami ke madani mahol se kis arah wabasta karain? | Listen |
Madani kaamon ke doran kabhi kabhi sakht mushkilat darpesh aati hain, kabhi ghar walon ki taraf se aur kabhi ma'aashray ki taraf se, ab rukawat aati hai tu dil tootnay lagta hai, Is Moga'e par kya karna chahiye? | Listen |
Dawat-e-Islami ka madani kaam kis niyyat se karna chahiye? | Listen |
Ma'zool nigran ka tarz-e-amal | Listen |
Agar mughlim ko awaam na marain tu uska dil khul janay ka andesha hai? | Listen |
Tanzeeman rothay howe ko mananay ka tareeqa | Listen |
Dosray halqay main Madani Kaam karnay k liye jana ho tu? | Listen |
Kya Dawat-e-Islami ka phone, stationary wagherah apnay zaati istemal main lasaktay hain? | Listen |
Dawat-e-Islami ki Majlis-e-Shoora se harj rakhnay main harj nahi. | Listen |
Jis par tanzeemi pabandi ho usay bahal karnay ka ikhtiyaar kis ke paas hai? | Listen |
Imama utarnay ka ikhtiyar kis ko hai? | Listen |
Dawat-e-Islami ke Naat Khuwan ka kirdar kaisa ho? | Listen |
Ameer-e-Ahl-e-Sunnat ne Dawat-e-Islami ka kaam kis tarah shuro farmaya? | Listen |
Dawat-e-Islami ka madani kaam barhanay ke liye ? | Listen |
Islami bahnon ke liye Dawat-e-Islami ke madani kaamon ke auwqaat? | Listen |
Raat ke bajaye din main madani kaam ki tarkeeb | Listen |
Dawat-e-Islami ke zimmedaraan ki shikayat ka tareeqa-e-tanzeemi tarkeeb. | Listen |
Tanzeemi Zimmedari bakhushi qubool karain | Listen |
Dawat-e-Islami main istiqaamat kesay milay | Listen |
Imaama Shareef ke rung ke baray main | Listen |
Dawat-e-Islami ke qayaam ka maqsad | Listen |
Kya madani kaam par pakar dheeli nahi hogae? | Listen |
Dawat-e-Islami walay apnay aapko ghair siyasi kyon kehtay hain? | Listen |
Tanzeemi soch kis ko kehtay hain? | Listen |
Dawat-e-Islami wala honay ki alamaat | Listen |
Dawat-e-Islami main shaksiyat ko ahmiyat haasil hai ya Madani kaam ko? | Listen |
Taajir Dawat-e-Islami ke madani kaam kis tarah karay? | Listen |
Dawat-e-Islami ke nizam aur markazi Majlis-e-Shoora ke madani kaam se aap kis hudd tak mutma'in hain? | Listen |
Rozana do ghantay Dawat-e-Islami ke madani kaamon par kis tarah dain? | Listen |
Apnay nigran ya peer sahib ko khush karnay ke liye madani kaamon main hissa lena ikhlaas ke manafi hai ya nahi? | Listen |
Nigran ko isliye tuhfa diya ke ye nekyon main mujhse aagay hain aur murshid ke qareeb hain | Listen |
Baaz mubal'ligheen madani kaamon main sust par jatay hain aur shikayatan kehtay hain ke main ne bahut koshish ki magar Kamyaab na hui, kya karun? humari baat log nahi mantay, Hum madani kaam kis tarah karain? | Listen |
Baaz alaqon main madani kaam karnay walay bahut kam hotay hain. mukhalfat ka zor aur tanon ka shor, kaam karnay ki himmat nahi hoti, koi mufeed mashwara inayat farmayen. | Listen |
Jis alaqay main masjid ke imam-o-intizaamiya suuni honay ke baawajod Dawat-e-Islami ke madani kaam aur madani qaflon ke qayam ki ijazat na dain, tu wahan madani kaam kis tarah kiya jaye? | Listen |
Dawat-e-Islami siyaasat main hissa kyon nahi leti? | Listen |
Tableegh-e-Qur'an-o-Sunnat ki Aalamgeer tahreek Dawat-e-Islami ki ibtida kya kabhi apke zahan se ye suwaal guzra ke main akaila kya kya karunga? aur kya aapko Dawat-e-Islami ki Dunya bhar main is qadar phalnay phoolnay ki ummeed thi? | Listen |
Baaz islami bhai duty ke silsilay main door daaraz ke alaqon main jatay hain, aur madani kaam ki taraf tawajjah nahi rehti aur wo apnay peshawarana kaamon main mashghool hojatay hain, wapsi par thakan ke baa'is madani kaamon main susti hoti hai, aisay islami bhaiyon ke liye chand madani phool irshad farmadain. | Listen |
Baaz islami bhai naukri ke baa'is duty timing mainimama shareef nahi pahentay aur phir ahista ahista ye apna ma'mool bana letay hain yani kabhi kabhar ek do maah baad imama pahen liya aisay islami bhaiyon ke liye madani phool irshad farmayen. | Listen |
Dawat-e-Islami ke ghair siyasi honay ke government aur awami satah par kya kya fawa'id hain? | Listen |
Alhumdulillah (Azzawajal) Dawat-e-Islami walon ke aqaa'id ain qur'an-o-sunnat ke mutabiq hain magar phir bhi kuch loh hum ko mushrik-o-bid'ati kehtay hain, unko kaisay mutma'in karain? aur unke liye kya hukm hai? | Listen |
Kya Dawat-e-Islami firqa waariyat ko furoogh de rahi hai? | Listen |
Dawat-e-Islami walay katha'i/brown rung ki chadar kyon istemal kartay hain? | Listen |
Dars-e-Nizami se wabasta islami bahnon ka madani kaamon main kya kirar hona chahiye? | Listen |
Jis madani kaam ki targheeb aapnay abhi irshad farmai, us madani kaam ko karnay ka tareeqa kya hona chahiye? | Listen |
Agar bilfarz islami bahnon ki mushawrat tak bhi hum nizam ke tahat puhancch gaye aur tab bhi humara mas'ala hal na howa tu, ab kya karain? | Listen |
Ye jo madani nuskhay ap ne irshad farmaye ye tu un islami bahnon ke liye hain jinke yahan munnay ke abba mojod hoon, Waalid aur bhai inhe kis tarah madani mahol ki targheeb dilaye jaye? | Listen |
Madani markaz ke mutabiq islami bhai isha ke baad do ghantay ke andar andar ghar chalay jayen aur islami bahnain maghrib se pehlay tamam tanzeemi kaam khatam kar ke ghar chalay jana chahiye, agar iske bawajoud koi islami bahan iski khilaf warzi karti hai tu uske saath deegar islami bahnon ko kya karna chahiye? | Listen |
Ek Mu'allima apnay taalbaat ki tanzeemi aur ikhlaaqi tarbiyat kesay karay? | Listen |
Baaz islami bahnain aapas main gehri dostiyan karleti hain, tu kya is tarah ki dostiyon se khush hotay hain? | Listen |
Mu'allimaat aur taalbat ke liye bhi madani kaamon ke hadaf hain? | Listen |
T.V par aanay walay beshtar Naat Khuwan Dawat-e-Islami ke Naat Khuwan kehlatay thay, aur ab bhi yeh ta'assur paya jata hai ke ye Dawat-e-Islami ke Naat Khuwan hain. | Listen |
Jo Naat Khuwan markaz ki tarkeeb main nahi hain wo sabz imama bhi pahentay hain aur raat bhar mehfil bhi kartay hain unke liye aap kya farmatay hain? aur un ilaqon ke nigranon ko aap kya irshad farmatay hain? | Listen |
Ye Afwah kahan tak durust hai ke dawat-e-islami ka madani markaz T.V par apnay muballigheen ki tarkeeb bana raha hai? | Listen |
Dawat-e-islami ka madani maqsad kya hai? | Listen |
Sust aur rothay howe islami bhaiyon ko madani kaamon main masroof karnay ka tareeqa irshad farmadain | Listen |
Is Madani maqsad ki wazahat farma dijeye | Listen |
Is maqsad ko panay ke liye Dawat-e-Islami ka mahol kyon zaruri hai? | Listen |
Baaz Islami bhai imama shreef nahi pahentay aur darhi shareef rakhnay main bhi susti kartay hain, aur uzr ye hota hai ke jahan hum kaam kartay hain wahan par haalat muwaafiq nahi hain, unka yeh uzr paish karna kaisa hai? | Listen |
Aaj tu do ghantay walay madani in'aam par amal nahi horaha? | Listen |
Dawat-e-Islami ek ghair siyasi tehreek hai, magar baaz loag kehtay hain ke anqareeb Dawat-e-Islami siyasat main ajaegi, Ye kahan tak durust hai? | Listen |
Aaj kal Dawat-e-Islami wala Naat Khuwani kartay hain aur ka'i Sabz imamay walay is main shareek hotay hain, Is ke baaray main aap kya irshaad farmatay hain? | Listen |
Main Dawat-e-Islami ka madani kaam Madani markaz ke usolon ke tahat karna chahta hoon, aur tarbiyyat haasil kar na chahta hoon. | Listen |
Daar-ul-uloom aur madaris main madani kaam kaise kiya jaye? | Listen |
Dawat-e-Islami ki tamam majalis ek khaas muddat ke liye kyon banai jaati hain? | Listen |
Majlis-e-Shoora se kya muraad hai? | Listen |
Dark Green Imama pahenna tanzeemi tor par kaisa hai? | Listen |
Imamay ki khoobsurat barhanay ke liye jo karhai waghera ki jaati hai wo kaisa hai? | Listen |
Suna hai aksar mudarriseen-o-naazimeen madani kaam nahi kartay, ye kahan tak durust hai? | Listen |
Madani tarbiyyat ke zimmadar islami bhai ko tarkeeb ke islami bhaiyon ke saath kaisa rawayya rakhna chahiye? | Listen |
waqf ke islami bhaiyon ke saath narmi se paish ayen, agar ye baara maah safar karnay walay islami bhai madani markaz ke jadwal ke mutabiq arkeeb nahi banatay yaa bar bar samjhanay ke bawajod akhrajat aur deegar mu'amlaat main bahtari nahi latay tu zimmedaran in ke saath kis tarah tarkeeb banaen? | Listen |
Aap apnay bayanat, madani muzakron ki cassetes aur rasaa'il parhnay par itna zor detay hain, Kyon? | Listen |
Aksar madani qaflay walay islami bhaiyon ko hathon haath safar ke liye raazi karletay hain, magar alaqay walay islami bhaiyon ko rok letay hain ye keh kar ke jb hum safar karain tu aap humaray saath safar kijeyega, Is ke baray main irshad farmayen? | Listen |
Kaseer sahaba-e-karam aur auliya-e-uzzam (Ridwanullah hi ta'ala alaihim ajma'een) aisay hain jinhon ne ghar baar chor kar raah-e-khuda (Azzawajal) safar ikhtiyar kiye aur apnay watan se door daraz maqamat par hi safar-e-aakhirat ikhtiyar kiya, kya Dawat-e-Islami ke muballigheen ki bhi aisi misalain milti hain? | Listen |
Baaz auwqat shahar mushawrat, ya alaqai ya halqa mushawrat ki taraf se jo waqt diya jata hai, aam tor par madani mashwaa un auwqaat main khtam nahi hota, aur basa auwqaat waqt ke guzar janay ke bawajod kai kai ghantay tak madani mashwara khtam nahi hota aur zaili halqa zimmedaran aur deegar islami bhai naraz hojatay hain, baraye karam madani mashwaron ka muqarra waqt bhi irshad farmayen. | Listen |
madani mashwaray ke liye tu nigran apnay matahat ko talab kartay hain, kya Dawat-e-Islami ke mutabiq har kaam ke liye talab kar ke hi kaam kiya jaye ya az khud bhi jakar kaam karnay main fawa'id poshida hain? | Listen |
Aisay matahat ke baray main aap kya farmatay hain? | Listen |
Tarkeeb ke islami bhai jis tarah tanzeemi umoor main nigran ki itaa'at kartay hain kya gharailo aur zaati kaamon main nigran ki baat maan na chahiye? | Listen |
Abahi aapnay ye farmaya ke Dawat-e-Islami ke madani kaamon main yun gumm hojeye, ke aapko apna tasakkhus na ho, Is se kya murad hai? | Listen |
Aakhir wo koun se aisay awaamil hain ke jis yeh zaahir ho ke ye apni alag se shaksiyat bana kar apnay mamulat chala rahay hain? | Listen |
Kya tanzeemi nazm-o-zabt ka matlab sirf sar jhuka kar pichay pichay chalna hai? agar kisi poicy ya faislay par dil mutma'in na ho tu kya kiya jaye? | Listen |
Jami'atul Madina ki muqarrar karda chuttiyon main koi ustad kisi aur jagah ijara par kaam kar sakta hai ya nahi? aur kya yeh ijaray par ijara nahi kehlaega? | Listen |
Fi zamana ehyaa-e-deen ki bahut saari tanzeemain mojoad hain magar yeh kyon kaha jata hai ke Dawat-e-Islami jesi koi tehreek nahi, isay aur tehreekon par tarjeeh di jati hai? | Listen |
Dawat-e-Islami tanzeem hai ya tehreek? | Listen |
Dawat-e-Islami main mustahibbat par is qadar sakhti kyon ki jaati hai? | Listen |
Ye kehna kahan tak durust hai, ke Dawat-e-Islami siyasat main nahi ayi, tu mulk ka nizam kesay theek hoga? | Listen |
Jo koi Dawat-e-Islami ke madani mahol se wabasta ho, tu kya wo kisi aur tanzeem main kaam kar sakta hai kya? | Listen |
Dawat-e-Islami walay safaid imama kyon nahi bantay ke yeh sarkar se saabit hai? | Listen |
(To download answers Right Click on the link and select Save target As.) |
March 8, 2009
Q & A's Regarding Dawat-e-Islami
Labels: dawat-e-islami, Madani Muzakra
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment