November 20, 2009

Islamic Answer - Miscellaneous

Miscellaneous Answers
 
Fatwa Code
Question
Answer
00004Kia Palmistry , Ilm-e-Nujum Islam ki ru se halal hai? Tafseelan arz kardijeye.. Main ne Shama-e-Shabistan-e-Raza (Book OF Ala-Hazrat (Rahmatullahi Alaihu)) ke baaray main bhi suna hai, Ye kitab imaam Ahmad Raza Khan (Rahmatullahi Alaihu) ki likhi hui hai aur ye sitaron ke muta'alliq hai. Tafseelan samjha dengay tu maharbani hogi.Read
00014Main ne bukhari shareef main ke huzoor (Sallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke meray baad baara 12 khalifa hongay, Kya aap mujhay unke naam bata saktay hain?Read
00015Janab mera masla yeh hai k mere dimagh mai har waqt wasvase or waham ate hain k mere sath bura ho jaye ga jab k main panch waqt ka namazi bhi hu mera dimagh har waqt mere sath bura karne k wahanm or wasvase dalta hai jis ki waja sai muje dili or dimaghi sukun nahi milta kai salo sai main sukun se nahi so paya har waqt har makhluq sai dar lagta hai muje. bara e mehar bani muje bataye k mere sath aisa kyu hai or mera roohani ilaj kar dein kyu k main sukun say life guzarna chahta hun.Read
00016Kya is Hadith ki koi asliyat hai ya iski koi sachai hai?? "Hazarat aysha se rawi kiya jata he is Hadees ko, K Jub Kisi na Mehram ka ana jana zyada hota tha tu hum use Apna (ma'azallah) Doodh pila Diya karte thay aur wo phir hamare lia mehram hojaya krta tha. is trah se ap apni Sisters ko bhi Hukm diya kartin or wo bhi yehe amal kartin.". Agar is hadith ki koi Asliyat hai tu uska hawala bhi inayat farma dijeye?Read
00027Aaj kal mukhtalif software cd's market main milti hain magar un main se aksar asal nahi hoti balke copy ki hui hoti hain kyon ke asal cd's ki qeemat bahut ziada hoti hai jab ke ye copy ki hui c's bahut sastay daamon main muyassar hojaati hain, Daryaaft talab amar yeh hai ke kya is tarah cd's copy karna khareed-o-farookht karna, usay load kar ke us par kaam karna shar'an kesa hai?Read
00031Janab-e-Sayyidah ki kahani parhnay aur us ki mannat maan ne ke baray main tafseeli hukm irshad farmadain, ke ye kyon jaa'iz hai? Aur soola16 sayyidon ki kahani jo parhi jati hai us main ek baat yeh bhi hai ke jo yeh mujazah parhayga usay chaalees40 saal tak mout nahi ayegi, Is bat main kahan tak sadaqat hai?Read
00032Kya Mard Chain Wali Ghari pahan Sakta hai?Read
00037Moulana Manzoor Noumani Sunni Allaim hai ya Bad Mazhab? Aur iski kitabain parhna kaisa hai?Read
00038Kya insaani Aaza kisi dosray ko huba karsaktay hain?Read
00041Main ne kisi jagah Namaz-e-Istikhara ke baaray main parha tha aur us main dua ke baray main bhi likha tha, Kya yeh sahih hai? Neez aap mujhay dua likh kar dijeye?Read
000431) Kya Touba Se tamam gunaah muaaf hojatay hain ya koi aisa gunaah hai jo touba se muaa nahi hota?
2) Agar koi shakhs touba kar ke baar baar wohi gunaah karay tu uske baray main kya hukm hai?
3) Touba se muta'alliq Kuch irshad farmadain?
Read
00062Jumu'a ke din ko Jumu'a tul Mubaarak kehna kaisa hai?Read
00067Kya haath dhotay waqt kalma shareef parhna durust hai? aur haath dhonay ka sahih tareeqa kya hai?Read
00069Zabh karnay ka shara'e tareeqa kya hai?Read
00088Jo log zalzalay se muta'assir howe hain kya un par shaheed ka itlaq hoga?Read
00091Film "The Message" dekhai gae thi, Jis main Hazrat Muhammad(Sallahu Alaihi Wassalam) aur sahaba-e-karaam ka kirdaar bhi dikhaya gaya hai lekin Sarkar(Sallahu Alaihi Wassalam) aur khulfaa-e-raashideen ke ilawa deegar sahaba-e-karaam ka kirdaar tasweer ke saath sikhaya gaya hai, is film ka dekhna jaa'iz hai?Read
00097Agar istikhara main mana kiya jaye magar insan ye aqeedah rakhay ke wo kuch naik amal karlay tu khuda ko uski dua pasand ajaye aur phir dobara istikhara karnay se kya nateejah badal kar sakta hai?Read
00098Sitaaron se haal daryaaft karna jo akhbaar main aatay hain un par yaqeen rakhna chahiye ya nahi?Read
00106Ameer-e-Ahl-e-Sunnat ne madani muzaakray main farmaya ke ek jism main ek rooh ke siwa dosri rooh nahi aasakti jisay log sawaray kehtay hain aur Aapnay farmaya hai ke jinnaat ki napaak roohain is main daakhil hojati hain? Lihaaza tafseel se bataen ke sawari main napaak roohain daakhil hoti hain ke nahin? aur us suwaari ki haqeeqat kya hai?Read
00110Imaam Ahmad Raza Khan (Alaihir rahmah) ko Aala Hazrat kyon kehtay hain jabke Aala Hazrat tu faqat Sarkaar Sallahu Alahi Wasallam ki zaat-e-mubaarka hai, Baraye karam irshad farmaeye?Read
00116Kya ghar ka naam tauheed manzil ya At tauheed manzil rakh saktay hain?Read
00117Kaafir ke paisay kahan istemal kar saktay hain?Read
00132Musalman apni khoyi howi taaqat kab haasil karaingay?Read
00136Kya tambaako (tobacco) ka istemaal karna haraam hai?Read
00145Ghair muslim se kaarobaar (business) kar saktay hain? Kya qaadyani se kaarobaar (business) kar saktay hain?Read
00148Sub se bada gunaah kya hai aur kya uski muaafi bhi hai?Read
00149Agar koi ghair muslim salam karay tu tu jawab main kya kehna chahiye jab ke wo jawab ka muntazir ho?Read
00151Mera naam Bilal hai, Baraa-e-madina iska matlab bhi batadain?Read
00154Kya humari zameeb harkat karti hai ya saakin rehti hai? Kyon ke scientists kehtay hain ke zameen harkat karti hai Aap kya kehtay hain?Read
00156Shaitan ghaalib rehta hai, ilaaj batadain?Read
00157Kya shi'a ka janaza parhna jaa'iz hai ya nahin?Read
00158Main bakasrat durood shareef parhti rahti hoon laikin is ke baawajood meri pareshaanyan khatam nahin hoti?Read
00159Chain waali ghri pahan kar ya aisay imaam ke pichynamaz prhn jaa'iz hai ya nahi?Read
00164Anghootay Choomna kaheen hadith se saabit hai?Read
00166Kya jihaad farz hai?Read
00177Jab parhayi karnay beth'ta hoon tu buray khayalat aur shaitaani wasawis aakar ghair letay hain, Baraa-e-Madina rahmumaayi farmaaen ke main in se kesay chutkara paasakta hoon?Read
00180Kya main mangni ke baad phone ya mobile par apni mangitar se baat kar sakta hoon Ya mobile message ke zaree'ay haal daryaaft kar sakta hoon?Read
00185Sultan Baho rahmatullah alaih ke darj zail ash'ar ka kya matlab hai,

Paanch hain mahal paanch roshniyan hain, Diya kahan jalaon,
Paanch denay walay hain, paanch khazanay hain, haasil kahan se karun,
paanch qiblay hain sajda kahan karun,
Baahu saahib agar sar bhi maangain tu hargiz inkar na karun ?
Read
00186Suw'war Pig ke najis honay ki mukammal wazaahat farmaadain?Read
00190Ajeeno Motu (Namak) Halaal hai ya Haraam?Read
00194Agar Khuda ta'aala louh-e-Mahfooz par paida honay se pehlay hi qismatoun ke faislay likh daita hai tou is dunya main bhejnay ka kya matlab hai tou kya naseeb main jannat kyoun nahin?Read
00195Jab Insaan ki taqdeer main pehlay hi sub kuch likh diya jaata hai tou phir usay us ke aa'maal par saza ya sawaab kyoun milta hai?Read
00196Kya hum television dekh saktay hain yani tilaawat-e-qur'aan-e-Paak, Naatain aur deegar deeni program sun'nay aur dekhnay ke baaray main kya hukm hai?Read
00198Farz ke ba'd dars main bethnay se agar sunnatoun se faasla hojaaye tou kya is se sawaab saaqit hojaaega?Read
00199Christmas Day ka kya matlab hai?Read
002001) Chand aur sooraj girhan ke ke muta'alliq islaam main kya hukm hai uswaqt kya parhna chahiye?
2) Uswaqt haamila (pregnant) aurat ke baaray main islaam kya kehta hai? us ko kya karnay ka hukm hai aur kis kis kaam se mumaan'at hai jaisa ke ik daf'a raat ko dou 2 bajay se lekar 6bajay tak chand girhan laga hai aur suna hai ke wo sou nahi sakti tou kya saari raat us ko souna man'a hai aur woh chalti phirti rahay yeh kya touhmaat hain ya shar'an in ki koi haqeeqat hai?
Read
00202Mujhay daarhi ka khat banwaanay ke baaray main bataaeye?Read
002031) Chand aur sooraj girhan ke ke muta'alliq islaam main kya hukm hai uswaqt kya parhna chahiye?
2) Uswaqt haamila (pregnant) aurat ke baaray main islaam kya kehta hai? us ko kya karnay ka hukm hai aur kis kis kaam se mumaan'at hai jaisa ke ik daf'a raat ko dou 2 bajay se lekar 6bajay tak chand girhan laga hai aur suna hai ke wo sou nahi sakti tou kya saari raat us ko souna man'a hai aur woh chalti phirti rahay yeh kya touhmaat hain ya shar'an in ki koi haqeeqat hai?
Read
00204Aurtoun Ka mazaaraat par jaana kaisa hai? Kya aurtain kisi bhi mazaar par nahin jaa sakti?Read
00205Mobile par na'at ya tilaawat ki tune lagaana kaisa hai?Read
00206Kitaabatun Nisaa waali hadeeth-e-mubaarka ke aurtoun ko likhna parhna na sikhaaou is ka kya matlab hai? Yani likhnay parhnay se mumaan'at ke baawajoud jo aaj kal ke dour main larkiyaan taleem haasil kar rahi hain? phir uska kya hukm hai? Mazeed likhnay parhnay ki Jaa'iz sourtain bhi bayaan farmaadain?Read
00248Agar paseenay ke qatray masjid ke farsh par gir jayen tu kya hukm hai, Kya woh shakhs gunahgaar hoga?Read
00344Kisi Wali-Ul-lah ki Qabar par haazri ka masnoon tareeqa kya hai?Read

0 comments:

Dawat-e-Islami {An International Islamic Propagational Movement of Quran and Sunnah}, Islam, islam, islamic, Dawat-e-Islami, dawateislami, learning, learn, learn islam, learning islam, knowledge of islam, knowledge, famous, movement, movements, Dawateislami blog is an islamic blog here you can search through masnooon duas, Al-Quran, translation, kanzul eeman and many many more islamic information, here you can also watch madani channel and submit your qusetions, requests for kaat online, spritual problems are solved through kaat online, you can also requests for roohani ilaj and ask for taweezat, this blog is completely dedicated to islam and is made to serve Islam, Faizan e Madina, Dawat e Islami, Istikhaara, Masnoon Duas, Quran Translation, Madani Channel, Prayer Timing, Rohaani Ilaaj, Roohaani Ilaaj, AL-Quran, Urdu translation, Tafseer, Kanzul Emaan, Ahlesunnat, Alahazrat, Alahadhrat, Al-Imam, Ahmed Raza, Imam, Imam-e-Ahlesunnat, Ameer-e-Ahlesunnat, Hazrat Sahib, FaizaneSunnat, Haji Mushtaq, Nigran-e-Shura, Ask the Mufti, Q&A, questions and answers, Islamic Library, Urdu Books, Bahar-e-Shariyat, FaizaneAttar, Faizan-e-madina, Tilawat, Hamd, Naat-e-Rasool, Islamic Radio, Durood-o-Salaam, Islamic Forums, Traditional Islamic Forum, Muslim Forum , Sunni Forum, Sunniyat, ahl e sunnah, ahl e sunnat, ahl-e-sunnat, ahl-e-sunnah, ahlesunnah, ahlesunnat, attari, qadri, ya ghous, ya rasoolallah, Ya ghous-e-Azam, Ya GhouseAzam, Ya Rasoolallah, prayer timings, islami namaz, namaz, hajj, roza, fasting, ramazan, islamc teaching, ulama, auliya, friends of Allah, friends of God, Muslims

  © Blog template 'Faizan-e-Madina' by Dawat-e-Islami.blog 2008

Back to TOP